gum-shuda  saa.e  DhūñDhtā  huuñ  maiñ
lamha  ban  kar  Thahar  gayā  huuñ  maiñ
zāhirī  shakl  merī  zinda  hai
aur  andar  se  mar  gayā  huuñ  maiñ
reza  reza  kiyā  havādis  ne
apne  zarrāt  chun  rahā  huuñ  maiñ
kaun  dekhegā  mujh  meñ  ab  chehra
ā.īna  thā  bikhar  gayā  huuñ  maiñ
vo  rifāqat  hai  ab  na  vo  shafqat
kitnī  āñkhoñ  meñ  jhāñktā  huuñ  maiñ
siskiyāñ  chīḳh  aah  naġhma  fuġhāñ
kitne  pardoñ  kī  ik  sadā  huuñ  maiñ
koī  munsif  sazā  na  de  lekin
qātilo  tum  ko  jāntā  huuñ  maiñ