ham  se  pūchhā  kyā  biitī  hai  āḳhir-e-shab  ke  māroñ  par
sahrā  sahrā  rañg  bikhere  raqs  kiyā  añgāroñ  par
ik  saaya  sharmātā  lajātā  raah  meñ  tanhā  chhoḌ  gayā
maiñ  parchhā.īñ  DhūñD  rahā  huuñ  TuuTī  huī  dīvāroñ  par
sar-gashta  the  mauj-e-havā  se  biit  gayā  vo  mausam  to  ham
barg-e-ḳhizāñ  kī  mānind  ab  āvāra  haiñ  kohsāroñ  par
bhūlī-bisrī  yādeñ  aa  kar  sargoshī  kartī  haiñ
phir  se  koī  giit  sunāo  dil  ke  shikasta  tāroñ  par