yuuñ  zindagī  guzar  rahī  hai  merī
jo  un  kī  hai  vahī  ḳhushī  hai  merī
dekhe  the  farsh-e-gul  ke  ḳhvāb  lekin
sho.aloñ  se  rah-guzar  sajī  hai  merī
maiñ  lamha  lamha  jaatā  rahā  huuñ
āñkhoñ  se  niiñd  uḌ  ga.ī  hai  merī
yāroñ  meñ  mil  sakā  na  koī  tujh  sā
kahne  ko  sab  se  dostī  hai  merī
āñkhoñ  meñ  jhāñk  kar  na  dekhā  tum  ne
logoñ  se  dāstāñ  sunī  hai  merī
ghere  haiñ  an-ginat  hasīn  yādeñ
tanhā.ī  mujh  se  chhīn  lī  hai  merī