Hameed Nag Puri

tere karam se teri be-ruKHi se kya lena

Hameed Nag Puri

Nagpur, Maharashtra, India

1906
tire karam se tirī be-ruḳhī se kyā lenā
mire ḳhulūs-e-vafā ko kisī se kyā lenā
sukūn-e-qalb na āsā.ish-e-hayāt nasīb
ye zindagī hai to is zindagī se kyā lenā
tū apnī vaz.a ko rusvā-e-arz-e-hāl na kar
kisī ko tere ġham-e-be-basī se kyā lenā
ḳharāb-e-zīst huuñ lekin tirī ḳhushī ke sivā
tire nisār mujhe zindagī se kyā lenā
tū merī ḳhū-e-mohabbat badal nahīñ saktā
zamāne mujh ko tirī be-ruḳhī se kyā lenā
sitam hai dam jo mirī dostī kā bharte the
vo kah rahe haiñ tirī dostī se kyā lenā
hamīd asl meñ ik ġham ko hai sabāt yahāñ
jise davām nahīñ us ḳhushī se kyā lenā
Top Urdushayar.com