ret  kī  lahroñ  se  dariyā  kī  ravānī  māñge
maiñ  vo  pyāsā  huuñ  jo  sahrāoñ  se  paanī  māñge
tū  vo  ḳhud-sar  ki  ulajh  jaatā  hai  ā.īnoñ  se
maiñ  vo  sarkash  ki  jo  tujh  se  tirā  saanī  māñge
vo  bhī  dhartī  pe  utārī  huī  maḳhlūq  hī  hai
jis  kā  kaaTā  huā  insān  na  paanī  māñge
abr  to  abr  shajar  bhī  haiñ  havā  kī  zad  meñ
kis  se  dam  bhar  ko  koī  chhāñv  suhānī  māñge
uḌte  pattoñ  pe  lapaktī  hai  yuuñ  Daalī  Daalī
jaise  jaate  hue  mausam  kī  nishānī  māñge
maiñ  vo  bhūlā  huā  chehra  huuñ  ki  ā.īna  bhī
mujh  se  merī  koī  pahchān  purānī  māñge
zard  malbūs  meñ  aatī  haiñ  bahāreñ  'shāhid'
aur  tū  rañg  ḳhizāoñ  kā  bhī  dhānī  māñge