be-sabab  baat  baḌhāne  kī  zarūrat  kyā  hai
ham  ḳhafā  kab  the  manāne  kī  zarūrat  kyā  hai
aap  ke  dam  se  to  duniyā  kā  bharam  hai  qaa.em
aap  jab  haiñ  to  zamāne  kī  zarūrat  kyā  hai
terā  kūcha  tirā  dar  terī  galī  kaafī  hai
be-Thikānoñ  ko  Thikāne  kī  zarūrat  kyā  hai
dil  se  milne  kī  tamannā  hī  nahīñ  jab  dil  meñ
haath  se  haath  milāne  kī  zarūrat  kyā  hai