ruuh  ko  qaid  kiye  jism  ke  hāloñ  meñ  rahe
log  makḌī  kī  tarah  apne  hī  jāloñ  meñ  rahe
jism  ko  aa.ina  dikhlāte  haiñ  saa.e  varna
aadmī  ke  liye  achchhā  thā  ujāloñ  meñ  rahe
vaqt  se  pahle  ho  kyuuñ  zehn  pe  ḳhurshīd  kā  bojh
raat  baaqī  hai  abhī  chāñd  piyāloñ  meñ  rahe
phir  to  rahnā  hī  hai  ghūre  kā  muqaddar  ho  kar
phuul  taaza  hai  abhī  reshmī  bāloñ  meñ  rahe
shauq  hī  hai  to  bahar-hāl  tamāshā  baniye
ye  zarūrī  nahīñ  vo  dekhne  vāloñ  meñ  rahe
ab  calendar  meñ  nayā  DhūñDiye  chehra  'shāhid'
kab  talak  ek  hī  tasvīr  ḳhayāloñ  meñ  rahe