karb  chehre  se  mah-o-sāl  kā  dhoyā  jaa.e
aaj  fursat  se  kahīñ  baiTh  ke  royā  jaa.e
phir  kisī  nazm  kī  tamhīd  uThā.ī  jaa.e
phir  kisī  jism  ko  lafzoñ  meñ  samoyā  jaa.e
kuchh  to  ho  raat  kī  sarhad  meñ  utarne  kī  sazā
garm  sūraj  ko  samundar  meñ  Duboyā  jaa.e
baj  ga.e  raat  ke  do  ab  to  vo  aane  se  rahe
aaj  apnā  hī  badan  oḌh  ke  soyā  jaa.e
narm  dhāge  ko  masaltā  hai  koī  chuTkī  meñ
saḳht  ho  jaa.e  to  motī  meñ  piroyā  jaa.e
itnī  jaldī  to  badalte  nahīñ  hoñge  chehre
gard-ālūd  hai  ā.īne  ko  dhoyā  jaa.e
maut  se  ḳhauf-zada  jiine  se  be-zār  haiñ  log
is  alamiye  pe  hañsā  jaa.e  ki  royā  jaa.e