jo  merī  chhat  kā  rasta  chāñd  ne  dekhā  nahīñ  hotā
to  shāyad  chāñdnī  le  kar  yahāñ  utrā  nahīñ  hotā
duā.eñ  do  tumheñ  mash.hūr  ham  ne  kar  diyā  varna
nazar-andāz  kar  dete  to  ye  jalvā  nahīñ  hotā
abhī  to  aur  bhī  mausam  paḌe  hai  mere  saa.e  meñ
maiñ  bargad  kā  shajar  huuñ  muddatoñ  būḌhā  nahīñ  hotā
hasīnoñ  se  tamannā-e-vafā  kam-zarf  rakhte  haiñ
ye  aisā  ḳhvāb  hai  jo  umr-bhar  puurā  nahīñ  hotā
baḌe  ehsān  haiñ  mujh  par  tirī  ma.asūm  yādoñ  ke
maiñ  tanhā  rāsto  meñ  bhī  kabhī  tanhā  nahīñ  hotā
maiñ  jab  jab  sher  kī  gahrā.iyoñ  meñ  Duub  jaatā  huuñ
sivā  tere  mire  dil  meñ  koī  chehra  nahīñ  hotā