hamāre  sabr  kā  ik  imtihān  baaqī  hai
isī  liye  to  abhī  tak  ye  jaan  baaqī  hai
vo  nafratoñ  kī  imārat  bhī  gir  ga.ī  dekho
mohabbatoñ  kā  ye  kachchā  makān  baaqī  hai
mirā  usuul  hai  ġhazloñ  meñ  sach  bayāñ  karnā
maiñ  mar  gayā  to  mirā  ḳhāndān  baaqī  hai
maiñ  chāñd  par  huuñ  magar  mutma.in  nahīñ  huuñ  maiñ
mire  paroñ  meñ  abhī  bhī  uḌaan  baaqī  hai
miTā  do  jism  se  merī  nishāniyāñ  lekin
tumhārī  ruuh  pe  merā  nishān  baaqī  hai
tumheñ  to  sach  ko  ugalne  kī  thī  baḌī  aadat
tumhāre  muñh  meñ  abhī  tak  zabān  baaqī  hai
hamārī  maut  ko  barsoñ  guzar  ga.e  lekin
badan  kā  ḳhaak  se  ab  tak  milān  baaqī  hai