kā.enāt-e-ārzū  meñ  ham  basar  karne  lage
sab  bahut  nafrat  se  kyuuñ  ham  par  nazar  karne  lage
tere  har  lamhe  kā  ham  ne  aaj  tak  rakkhā  hisāb
ye  alag  hai  baat  ḳhud  ko  be-ḳhabar  karne  lage
zindagī  ko  alvidā.a  kah  kar  chalā  jā.ūñgā  maiñ
jab  mirī  tanhā.ī  mujh  ko  dar-ba-dar  karne  lage
mulk  kī  barbādiyāñ  us  vaqt  tai  ho  jā.eñgī
jab  burī  tahzīb  bachchoñ  par  asar  karne  lage
yā-ḳhudā  rāh-e-vafā  par  rahbarī  karnā  merī
jab  mujhe  gumrāh  merā  ham-safar  karne  lage
chhoḌ  kar  us  vaqt  ohde  ḳhud  chalā  jā.ūñgā  maiñ
shak  jahāñ  koī  mire  īmān  par  karne  lage
ishq  ke  us  moḌ  ko  sab  log  kahte  haiñ  junūñ
dil  kisī  ko  yaad  jab  shām-o-sahar  karne  lage