log  saare  bhale  nahīñ  hote
haañ  magar  sab  bure  nahīñ  hote
muddatoñ  dekh-bhāl  hai  lāzim
peḌ  yuuñ  hī  khaḌe  nahīñ  hote
vo  patañgoñ  kā  pyaar  kyā  jaane
jin  ke  ghar  meñ  diye  nahīñ  hote
ishq  chhup  kar  koī  bhale  kar  le
raaz  un  ke  chhupe  nahīñ  hote
ḳhvāb  un  ko  hasīn  lagtā  hai
niiñd  se  jo  jage  nahīñ  hote
phuul  samjhā  na  hotā  sho.aloñ  ko
haath  mere  jale  nahīñ  hote
pyaar  chhūtā  nahīñ  agar  dil  ko
sher  ham  ne  kahe  nahīñ  hote