dahakte  kuchh  ḳhayāl  haiñ  ajiib  ajiib  se
ki  zehn  meñ  savāl  haiñ  ajiib  ajiib  se
thā  āftāb  sub.h  kuchh  to  shaam  ko  kuchh  aur
uruuj  aur  zavāl  haiñ  ajiib  ajiib  se
har  ek  shāhrāh  par  dukānoñ  meñ  saje
tarah  tarah  ke  maal  haiñ  ajiib  ajiib  se
vo  paas  ho  ke  duur  hai  to  duur  ho  ke  paas
firāq  aur  visāl  haiñ  ajiib  ajiib  se
nikalnā  in  se  bach  ke  sahal  is  qadar  nahīñ
qadam  qadam  pe  jaal  haiñ  ajiib  ajiib  se
adab  faqat  adab  hai?  yā  hai  tarjumān-e-zīst?
mire  yahī  savāl  haiñ  adiib  adiib  se