jab  tumhārī  taraf  se  ishāre  hue
ham  tumhāre  hue  tum  hamāre  hue
bevafā.ī  kā  ilzām  mujh  ko  na  do
be-jhijhak  kah  bhī  do  tum  kināre  hue
phir  mohabbat  ko  aisī  nazar  lag  ga.ī
ashk  mīThe  the  jo  khāre  khāre  hue
phīke  phīke  hue  jab  qarīb  aa.e  to
chāñd  taare  zamīñ  par  utāre  hue
dekhnā  kyā  huā  us  kā  muḌ  kar  mujhe
merī  palkoñ  pe  aañsū  sitāre  hue
mil  ga.ī  jab  tirī  chhāñv  meñ  kuchh  jagah
yuuñ  lagā  ab  mire  vāre-nyāre  hue