tū  mire  ġham  se  āshnā  kab  thā
ġham-zada  huuñ  tujhe  pata  kab  thā
chitr  terā  koī  banā  kab  thā
ik  diyā  thā  magar  jalā  kab  thā
aa  to  jaatī  tire  qarīb  magar
koī  aane  kā  rāsta  kab  thā
aks  kaise  sambhāl  kar  rakhtī
TuuT  kar  aa.ina  bachā  kab  thā
merī  ḳhāmoshiyoñ  ko  bolne  kā
tū  ne  mauqa  koī  diyā  kab  thā
dard  ko  kuchh  davā  bhī  chāhiye  thī
dard  kā  koī  silsila  kab  thā