dil  ko  patthar  banā  ke  dekhte  haiñ
us  se  nazreñ  churā  ke  dekhte  haiñ
dil  ko  taskīn  kī  zarūrat  hai
dard  ko  gungunā  ke  dekhte  haiñ
koī  aa.e  na  aa.e  us  se  kyā
aaj  ghar  ko  sajā  ke  dekhte  haiñ
jāgtā  hai  ki  so  rahā  hai  vo
us  ke  ḳhvāboñ  meñ  jā  ke  dekhte  haiñ
us  ne  kyā  likh  diyā  hai  āñkhoñ  meñ
ā.īna  paas  lā  ke  dekhte  haiñ
phir  nayā  dard  chāhtā  hai  ye  dil
us  kī  bātoñ  meñ  aa  ke  dekhte  haiñ