Khushboo Saxena

ai mere hath ke kangan khanak aahista aahista

Khushboo Saxena

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1988
ai mere haath ke kañgan khanak āhista āhista
dhaḌak ai dil dhaḌak lekin dhaḌak āhista āhista
mirī āñkhoñ meñ chubhtī hai ziyāda raushnī ho to
ai jugnū sun damak lekin damak āhista āhista
zamāne baad aayā hai kisī kā aks āñkhoñ meñ
ai shāḳh-e-gul mahak lekin mahak āhista āhista
kabhī zid hī nahīñ kartī koī hasrat mire dil kī
machaltī hai magar man kī lalak āhista āhista
bharosa kījiye us par usī kī mehrbānī se
chalī aatī hai chehre par chamak āhista āhista
ye titlī phuul par baiThī hai to baiThī bhī rahne de
havā palkeñ jhapak lekin jhapak āhista āhista
Top Urdushayar.com