aarzū  hai  bahut  kināre  kī
der  hai  bas  tere  ishāre  kī
vo  yahāñ  aa.e  aur  chale  bhī  ga.e
kyā  zarūrat  thī  nām-chāre  kī
ai  havāo  udhar  na  le  jaao
maiñ  lahar  huuñ  usī  kināre  kī
chāñd  kā  naam  dījiye  na  mujhe
sirf  parchhā.īñ  huuñ  sitāre  kī
zindagī  kyā  hai  kuchh  nahīñ  hai  bas
ek  tasvīr  hai  sharāre  kī
merī  hālat  bhī  aaj  aisī  hai
jaisī  gardish  meñ  ik  sitāre  kī