duur  tak  bas  ik  dhundalkā  gard-e-tanhā.ī  kā  thā
rāstoñ  ko  ranj  merī  ābla-pā.ī  kā  thā
fasl-e-gul  ruḳhsat  huī  to  vahshateñ  bhī  miT  ga.iiñ
haT  gayā  saaya  jo  ik  āseb-e-sahrā.ī  kā  thā
toḌ  hī  Daalā  samundar  ne  tilism-e-ḳhud-sarī
zom  kyā  kyā  sāhiloñ  ko  apnī  pahnā.ī  kā  thā
aur  mub.ham  ho  gayā  paiham  mulāqātoñ  ke  saath
vo  jo  ik  mauhūm  sā  rishta  shanāsā.ī  kā  thā
ḳhaak  ban  kar  pattiyāñ  mauj-e-havā  se  jā  milīñ
der  se  'akbar'  guloñ  par  qarz  purvā.ī  kā  thā