nigah-e-shauq  se  husn-e-gul-o-gulzār  to  dekh
āñkheñ  khul  jā.eñgī  ye  manzar-e-dīdār  to  dekh
paikar-e-shāhid-e-hastī  meñ  hai  ik  aañch  na.ī
lazzat-e-dīd  uThā  shola-e-ruḳhsār  to  dekh
shoḳhī-e-naqsh  koī  hādsa-e-vaqt  nahīñ
mo.ajaza-e-kārī-e-ḳhūn-e-dil-e-fankār  to  dekh
har  dukāñ  apnī  jagah  hairat-e-nazzāra  hai
fikr-e-insāñ  ke  sajā.e  hue  bāzār  to  dekh
ban  ga.e  gard-e-safar  qāfile  āvāzoñ  ke
ādam-e-nau  kī  zarā  garmi-e-raftār  to  dekh
munqalib  ho  gayā  paimāna-e-har-bast-o-buland
dekh  kar  apnī  taraf  jānib-e-kohsār  to  dekh
na.e  āhañg  se  ab  naġhma-sarā  hai  'akbar'
fikr  ke  saath  zarā  shoḳhi-e-guftār  to  dekh