tāmīz-e-pisar-e-zamīn  va  ibn-e-falak  na  karnā
tum  aadmī  ho  to  aadmī  kī  hatak  na  karnā
ye  jam.a-o-tafrīq  zarb-o-taqsīm  kī  sadī  hai
aqīda  Thahrā  adad  kī  mantiq  pe  shak  na  karnā
pas-e-ḳharābāt-e-band  jaarī  hai  mai-gusārī
sikhāyā  jām-o-subū  ko  ham  ne  khanak  na  karnā
chhalāve  ban  jaa.eñ  aage  jā  kar  yahī  ġhazālāñ
ta.āqub  in  mah-vashoñ  kā  tum  duur  tak  na  karnā
ye  ġham  ke  ma.anī  tujhe  lage  hai  sarāb-e-ma.anī
akele  sahnā  use  ġham-e-mushtarak  na  karnā