kabhī  ḳhud  ko  dard-shanās  karo  kabhī  aao  nā
mujhe  itnā  to  na  udaas  karo  kabhī  aao  nā
mirī  umr-sarā.e  mahke  hai  gul-e-hijrāñ  se
kabhī  aao  aa  kar  baas  karo  kabhī  aao  nā
mujhe  chāñd  meñ  shakl  dikhā.ī  de  jo  duhā.ī  de
koī  chāra-e-hosh-o-havās  karo  kabhī  aao  nā
isī  gosha-e-yād  meñ  baiThā  huuñ  ka.ī  barsoñ  se
kisī  raft-guzasht  kā  paas  karo  kabhī  aao  nā
kahīñ  āb-o-hāva-e-tishna-labī  mujhe  maar  na  de
use  barkhā  ban  kar  raas  karo  kabhī  aao  nā
sadā  aate  jaate  mausam  kī  ye  gulāb-ruteñ
koī  der  haiñ  ye  ehsās  karo  kabhī  aao  nā