vaise  to  bahut  dhoyā  gayā  ghar  kā  añdherā
niklā  nahīñ  dīvār  ke  andar  kā  añdherā
kuchh  ruashnī-e-tab.a  zarūrī  hai  vagarna
hāthoñ  meñ  utar  aatā  hai  ye  sar  kā  añdherā
vo  hukm  ki  hai  aql-o-aqīde  pe  muqaddam
chhuTne  hī  nahīñ  detā  muqaddar  kā  añdherā
kyā  kyā  na  abul-haul  tarāshe  ga.e  us  se
jaise  ye  añdherā  bhī  ho  patthar  kā  añdherā
detī  hai  yahī  vaqt  kī  tauret  gavāhī
zar  kā  jo  ujālā  hai  vo  hai  zar  kā  añdherā
har  aañkh  lagī  hai  ufuq-e-dār  kī  jānib
sūraj  se  kiran  māñgtā  hai  Dar  kā  añdherā