kahkashāñ  ke  tanāzur  meñ  ham  kyā  hamārā  sitāra  hai  kyā
an-ginat  āftāboñ  kī  aqlīm  meñ  ik  sharāra  hai  kyā
kaun  samjhe  zabāñ  barg-o-ashjār  kī  dasht-o-kohsār  kī
kaun  jaane  ki  is  be-karāñ  ḳhāmushī  meñ  ishāra  hai  kyā
ham  mohabbat  ko  ik  mansab-e-āshiqāna  samajhte  rahe
ye  na  sochā  mohabbat  kī  saudāgarī  meñ  ḳhasāra  hai  kyā
ye  tilism-e-tamāshā  hai  saarā  jahāñ  ik  tilism-e-nazar
raushnī  kā  samundar  haiñ  āñkheñ  magar  āshkāra  hai  kyā
vo  hai  be-misl  us  ko  usī  ke  havāle  se  samjhā  karo
us  ke  idrāk  meñ  daḳhl-e-tashbīh  kyā  isti.āra  hai  kyā
ek  miTTī  ke  ghar  meñ  jiye  umr  bhar  aur  miTTī  hue
kul  jahāñ  yuuñ  to  'akbar'  hamāre  liye  par  hamārā  hai  kyā