har  kisī  kā  har  kisī  se  rābta  TuuTā  huā
aañkh  se  manzar  ḳhabar  se  vāqi.a  TuuTā  huā
kyuuñ  ye  ham-sūrat  ravāñ  haiñ  muḳhtalif  atrāf  meñ
hai  kahīñ  se  qāfile  kā  silsila  TuuTā  huā
vaa.e  majbūrī  ki  apnā  masḳh  chehra  dekhiye
sāmne  rakkhā  gayā  hai  aa.inā  TuuTā  huā
ḳhud-ba-ḳhud  badle  to  badle  ye  zamīñ  is  ke  sivā
kyā  bashārat  de  hamārā  hausla  TuuTā  huā
ḳhvāb  ke  aage  shikast-e-ḳhvāb  kā  thā  sāmnā
ye  safar  thā  marhala-dar-marhala  TuuTā  huā
kuchh  taġhāful  bhī  ḳhabardārī  meñ  shāmil  kījiye
varna  kar  Dālegā  pāgal  vāhima  TuuTā  huā