maiñ  jab  bhī  chhūne  lagūñ  tum  zarā  pare  ho  jaao
ye  kyā  ki  lams  meñ  aate  hī  dūsre  ho  jaao
ye  kār-e-ishq  magar  ham  se  kaise  sarzad  ho
alaav  tez  hai  sāhab  zarā  pare  ho  jaao
tumhārī  umr  bhī  us  aab  ke  hisāb  meñ  hai
nahīñ  ki  us  ke  barasne  se  tum  hare  ho  jaao
ye  gosha-gīr  tabī.at  bhī  ek  mahbas  hai
havā  ke  lams  meñ  aao  hare-bhare  ho  jaao
kabhī  to  matl.a-e-dil  se  ho  itnī  bārish-e-ashk
ki  tum  bhī  khul  ke  baraste  hue  khare  ho  jaao