Kanval Malik

tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai

Kanval Malik

tum kyā jaano pyaar mohabbat ishq nibhānā kyā hotā hai
tum kyā jaano rasta takte umr bitānā kyā hotā hai
masjid mandir girja-ghar meñ ashk bahānā kyā hotā hai
tum kyā jaano raat tahajjud haath uThānā kyā hotā hai
ḳhud ko miTTī miTTī kar ke aaheñ girya zaarī shor
tum kyā jaano rūThne vaale yaar manānā kyā hotā hai
tum kyā jaano zaḳhmī āñkheñ ḳhvāb bikhar jaane kā dukh
tum kyā jaano hijr ke aañsū dard uThānā kyā hotā hai
jaan se pyāre de kar tum ko jaan manā luuñ bolo bhī
tum kyā jaano jaan se pyāre jaan se jaanā kyā hotā hai
Top Urdushayar.com