aañkh  meñ  aañsū  kā  aur  dil  meñ  lahū  kā  kaal  hai
hai  tamannā  kā  vahī  jo  zindagī  kā  haal  hai
yuuñ  dhuāñ  dene  lagā  hai  jism  aur  jaañ  kā  alaao
jaise  rag  rag  meñ  ravāñ  ik  ātish-e-sayyāl  hai
phailte  jaate  haiñ  dām-e-nārasī  ke  dā.ere
tere  mere  darmiyāñ  kin  hādsoñ  kā  jaal  hai
ghir  ga.ī  hai  do  zamānoñ  kī  kashākash  meñ  hayāt
ik  taraf  zanjīr-e-māzī  ek  jānib  haal  hai
hijr  kī  rāhoñ  se  'akbar'  manzil-e-dīdār  tak
yuuñ  hai  jaise  darmiyāñ  ik  raushnī  kā  saal  hai