jab  sub.h  kī  dahlīz  pe  bāzār  lagegā
har  manzar-e-shab  ḳhvāb  kī  dīvār  lagegā
pal  bhar  meñ  bikhar  jā.eñge  yādoñ  ke  zaḳhīre
jab  zehn  pe  ik  sañg-e-girāñ-bār  lagegā
gūñdhe  haiñ  na.ī  shab  ne  sitāroñ  ke  na.e  haar
kab  ghar  mirā  ā.īna-e-anvār  lagegā
gar  sail-e-ḳhurāfāt  meñ  bah  jaa.eñ  ye  āñkheñ
har  harf-e-yaqīñ  kalma-e-inkār  lagegā
hālāt  na  badle  to  tamannā  kī  zamīñ  par
TuuTī  huī  ummīdoñ  kā  ambār  lagegā
khilte  rahe  gar  phuul  lahū  meñ  yūñhī  'akbar'
har  fasl  meñ  dil  apnā  saman-zār  lagegā