ġham-e-hayāt  miTānā  hai  ro  ke  dekhte  haiñ
lahū  kā  daaġh  lahū  se  hī  dho  ke  dekhte  haiñ
atash  kī  niiñd  bahut  baḌh  ga.ī  hai  āñkhoñ  meñ
chalo  furāt  kī  bāhoñ  meñ  so  ke  dekhte  haiñ
hameñ  hamāre  alāva  bhī  jāntā  hai  koī
virāsatoñ  kī  ye  pahchān  kho  ke  dekhte  haiñ
tamām  umr  bahut  ro.e  zindagī  ke  liye
ab  apnī  laash  pe  kuchh  der  ro  ke  dekhte  haiñ
ajiib  log  haiñ  lāshoñ  meñ  zindagī  ke  nishāñ
har  ek  jism  meñ  neza  chubho  ke  dekhte  haiñ
is  aarzū  meñ  badan  ho  gayā  hai  zaḳhm-ālūd
ki  ek  raat  gulāboñ  pe  so  ke  dekhte  haiñ
ham  aadmī  kī  tarah  jī  rahe  haiñ  sadiyoñ  se
chalo  'salīm'  ab  insān  ho  ke  dekhte  haiñ