haiñ  sau  tarah  ke  rañg  har  ik  naqsh-e-pā  meñ  dekh
insāñ  kā  husn  ā.ina-e-irtiqā  meñ  dekh
yuuñ  hī  nahīñ  ye  bartarī-e-nasl-e-ādmī
guzre  haiñ  kaise  hādse  sa.ī-e-baqā  meñ  dekh
sarf-e-nazar  haiñ  vaqt  kī  pinhā.iyāñ  tamām
duniyā-e-nā-rasā  mirī  fikr-e-rasā  meñ  dekh
ye  raushnī  to  lau  hai  isī  ik  charāġh  kī
taz.īn-e-dahr  zehn  kī  nash-o-numā  meñ  dekh
is  kārobār  jān-o-jasad  par  nigāh  Daal
haiñ  kaisī  kaisī  ne.amateñ  āb-o-havā  meñ  dekh
yaañ  kitne  log  mar  ke  amar  ho  ga.e  na  pūchh
kyā  sūrateñ  baqā  kī  haiñ  rāh-e-fanā  meñ  dekh
sun  to  ḳhirām-e-vaqt  meñ  haiñ  kaisī  āhaTeñ
kyā  rañg  pur-fishāñ  haiñ  ġhubār-e-havā  meñ  dekh
'akbar'  hai  ek  mahshar-e-ilm-o-ḳhabar  dimāġh
shor-e-hayāt  ḳhāna-e-bīm-o-rajā  meñ  dekh