yuuñ  tirī  chaap  se  tahrīk-e-safar  TūTtī  hai
jaise  palkoñ  ke  jhapakne  se  nazar  TūTtī  hai
bojh  ashkoñ  kā  uThā  letī  haiñ  palkeñ  merī
phuul  ke  vazn  se  kab  shāḳh-e-shajar  TūTtī  hai
zindagī  jism  ke  zindāñ  meñ  ye  sāñsoñ  kī  salīb
ham  se  toḌī  nahīñ  jaatī  hai  magar  TūTtī  hai
koī  jugnū  koī  taara  nahīñ  lagtā  raushan
zulmat-e-shab  meñ  jab  ummīd-e-sahar  TūTtī  hai
kitne  andeshoñ  kī  kircheñ  sī  bikhar  jaatī  haiñ
ek  chauḌī  bhī  kalā.ī  se  agar  TūTtī  hai
ab  sivā  neze  pe  sūraj  nahīñ  aatā  hai  'salīm'
ab  qayāmat  bhī  ba-andāz-e-digar  TūTtī  hai