huuñ  pārsā  tire  pahlū  meñ  shab  guzār  ke  bhī
maiñ  be-libās  nahīñ  pairahan  utaar  ke  bhī
har  ek  sar  ko  bulandī  atā  nahīñ  karte
usuul  hote  haiñ  kuchh  to  salīb-o-dār  ke  bhī
hamāre  aks  bhī  dhundhle  hue  to  ham  samjhe
ki  ā.īnoñ  se  haiñ  rishte  yahāñ  ġhubār  ke  bhī
na  ābloñ  se  hai  raġhbat  na  paañv  se  ranjish
ajab  sulūk  haiñ  maidān-e-ḳhārzār  ke  bhī
vo  be-yaqīn  bharosa  na  kar  sakā  varna
the  mere  saath  ka.ī  log  e'tibār  ke  bhī
faqat  tumhīñ  ko  nahīñ  apnī  sādgī  pe  ġhurūr
dimāġh  arsh  pe  rahte  haiñ  ḳhāksār  ke  bhī
maiñ  jis  ke  paañv  kī  aahaT  kā  muntazir  thā  'salīm'
vo  jā  chukā  mujhe  dahlīz  se  pukār  ke  bhī