sunā  hai  is  taraf  kā  ruḳh  kareñge
tire  dushman  mirī  jānib  baḌheñge
kisī  se  kuchh  na  pūchhā  kuchh  na  jaanā
ye  dhabbe  ḳhuun  ke  kaise  dhuleñge
bahut  haiñ  chaar  din  ye  zindagī  ke
kabhī  ran  meñ  kabhī  ghar  meñ  raheñge
masīhāoñ  ko  ab  zahmat  na  hogī
ham  un  ke  aate  aate  mar  chukeñge
kahāñ  jaate  haiñ  ghabrā.e  hue  log
ki  sahrā  meñ  to  dīvāne  raheñge
abhī  marne  kī  jaldī  hai  'ibādī'
agar  zinda  rahe  to  phir  mileñge