kabhī  kabhī  chup  ho  jaane  kī  ḳhvāhish  hotī  hai
aaise  meñ  jab  tīr-e-sitam  kī  bārish  hotī  hai
haal  hamārā  sunñe  vaale  jaane  kyā  socheñ
yuuñ  bhī  kaisī  kaisī  zehnī  kāvish  hotī  hai
dīvāroñ  par  kyā  likkhā  hai  paḌh  ke  batlāo
kyā  aisī  bātoñ  par  yaaro  nālish  hotī  hai
ham  is  kī  ta.amīl  meñ  dīvāne  ban  jaate  haiñ
dil  aaise  nādāñ  kī  jab  farmā.ish  hotī  hai
duniyā  se  ik  roz  hamārī  baat  huī  chhup  kar
so  be-chārī  kī  ab  tak  fahmā.ish  hotī  hai
ek  hī  chhat  ke  nīche  chāroñ  vahshī  kyā  baiThe
dānāoñ  ne  samjhā  koī  sāzish  hotī  hai
yuuñ  bhī  ham  ko  shā.er-vā.er  kahlānā  kab  thā
sheroñ  meñ  bhī  apne  jhūTī  dānish  hotī  hai