musāfir  rāste  meñ  hai  abhī  tak
nahīñ  pahuñchā  ujālā  tīrgī  tak
guloñ  meñ  chāñd  khilne  ke  ye  din  haiñ
magar  khiltī  nahīñ  hai  ik  kalī  tak
zarā  sā  dard  aur  itnī  davā.eñ
pasand  aa.ī  nahīñ  chāragarī  tak
barahna  jism  par  do-chār  dhabbe
tamāshā  dekhte  haiñ  ajnabī  tak
vo  aisī  qīmtī  shai  bhī  nahīñ  thī
luTī  to  yaad  aatī  hai  abhī  tak
likhā  ḳhanjar  se  terā  naam  dil  par
hameñ  aatī  nahīñ  dīvāngī  tak
use  tasvīr  karne  kī  lagan  meñ
'ibādī'  bhuul  baiThe  ḳhud-kushī  tak