ye  sahrā  bas  abhī  gulzār  ho  jaane  hī  vaalā  hai
koī  tūfāñ  nahīñ  to  qāfila  aane  hī  vaalā  hai
zarā  Thahro  use  aane  do  us  kī  baat  bhī  sun  leñ
hameñ  jo  ilm  hai  go  dil  ko  dahlāne  hī  vaalā  hai
samundar  meñ  jazīre  haiñ  jazīroñ  par  hai  ābādī
abhī  ik  shor  bas  kānoñ  se  Takrāne  hī  vaalā  hai
havā-e-fasl-e-gul  meñ  shorish-e-bād-e-ḳhizāñ  bhī  hai
kalī  khiltī  hai  ya.anī  phuul  murjhāne  hī  vaalā  hai
kahāñ  jāoge  kis  ḳhāk-e-tamannā  kī  havas  meñ  ho
tumhārī  raah  kā  har  moḌ  vīrāne  hī  vaalā  hai
vahī  ġharqāb  hoñge  ham  vahī  kashtī  na  Dūbegī
agarche  nāḳhudā  is  sach  ko  jhuTlāne  hī  vaalā  hai