shāḳh-e-buland-e-bām  se  ik  din  utar  ke  dekh
ambār-e-barg-o-bār-e-ḳhizāñ  meñ  bikhar  ke  dekh
miTTī  ke  sādgī  meñ  alag  sā  jamāl  hai
rañgoñ  kī  nik.hatoñ  kī  qabā  taar  karke  dekh
imkāñ  kī  vus.atoñ  ke  ufuq  zaar  khul  ga.e
par  tolne  lage  haiñ  parinde  sahar  ke  dekh
zulmat  kī  kashtiyoñ  ko  bhañvar  hai  ye  raushnī
dar  khul  rahe  haiñ  dānish-o-ilm-o-ḳhabar  ke  dekh
kyā  jaane  ġham  kī  aañch  kā  partav  kahāñ  paḌe
añgḌā.ī  le  rahe  haiñ  hayūle  sharar  ke  dekh
sañgīn  hādsoñ  kī  hikāyat  tavīl  hai
koh-e-girāñ  kī  baat  na  kar  zaḳhm  sar  ke  dekh
apnī  basāratoñ  ko  jasārat  kī  aañch  de
manzar  isī  nazar  se  jahān-e-digar  ke  dekh
pindār-e-sar-nigūñ  kā  junūñ  mo'atabar  nahīñ
bujhte  hue  charāġh  kī  lau  tez  karke  dekh
'akbar'  nidā-e-shab  ko  navā-e-sahar  samajh
lau  de  rahe  haiñ  hausle  ahl-e-nazar  ke  dekh