ġham  diye  haiñ  to  masarrat  ke  guhar  bhī  denā
ai  ḳhudā  tū  mujhe  jiine  kā  hunar  bhī  denā
hākim-e-vaqt  ye  hijrat  mujhe  manzūr  magar
dam-e-ruḳhsat  mujhe  sāmān-e-safar  bhī  denā
ai  shab-o-roz  ke  mālik  mujhe  is  duniyā  meñ
lailatul-qadr  kī  mānind  sahar  bhī  denā
sun  zarā  ġhaur  se  sun  ai  shajar-e-sāya-fagan
jab  tire  saa.e  meñ  pahuñchūñ  to  samar  bhī  denā
lafz  nikleñ  jo  zabāñ  se  to  diloñ  tak  pahuñcheñ
merī  taqrīr  meñ  kuchh  aisā  asar  bhī  denā
tere  altāf-o-karam  kī  hai  bahar-sū  shohrat
māl-o-zar  degā  hī  to  la.al-o-gohar  bhī  denā
tū  jo  shamshīr-ba-kaf  ho  to  maiñ  sar  pesh  karūñ
jo  haiñ  dil  vaale  unheñ  aatā  hai  sar  bhī  denā
baḳhshne  vaale  zamāne  ko  jamāl-e-har-rañg
jo  tujhe  dekh  sake  aisī  nazar  bhī  denā
le  chalā  maiñ  tirī  jannat  se  bayābāñ  kī  taraf
sar  chhupāne  ko  vahāñ  tū  mujhe  ghar  bhī  denā
harf  aa  jaa.e  na  tujh  par  kahīñ  kam-zarfī  kā
dāman-e-'shams'  ko  tū  dīda-e-tar  bhī  denā