Shams Ramzi

mushtail ho gaya wo ghuncha-dahan danista

Shams Ramzi

Badayun, Uttar pradesh, India

1960

mushta.il ho gayā vo ġhuncha-dahan dānista

aa ga.ī lafzoñ meñ kyuuñ us ke chubhan dānista

jab bhī laayā hai vo māthe pe shikan dānista

yuuñ lagā jaise huā chāñd-gahan dānista

Thes lagtī hai anā ko to baras paḌte haiñ

lab-kushā hote nahīñ ahl-e-suḳhan dānista

sar-bulandī hameñ manzūr thī haq ḳhātir

is liye chuum liye dār-o-rasan dānista

jitne bhī ahl-e-siyāsat haiñ vatan-dushman haiñ

sab ne phūñkā hai mohabbat chaman dānista

ye bhī sach iiñT patthar se diyā ham ne javāb

ye bhī sach bair hai un se na jalan dānista

is se behtar kahāñ iz.hār-e-ġham-e-dil karte

yuuñ tarāshā kiye lafzoñ ke badan dānista

us se dushman nahīñ maut bhī katrā.egī

jis ne bhī bāñdh liyā sar se kafan dānista

shāyad is daur tahzīb ko ġhairat aa.e

ham ne chheḌī hai hikāyāt-e-kuhan dānista

jis ko vo chāhe atā kar de ye vasf-e-taqdīs

kaun paatā hai ġhazal kahne fan dānista

sahme sahme se haiñ peḌoñ pe parinde ai shams'

us ne gholī hai fazāoñ meñ ghuTan dānista

Top Urdushayar.com