ye  kaun  merī  tishnagī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
ki  lau  charāġh-e-dard  kī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
ye  merā  dil  hī  jāntā  hai  kitnā  sañg-dil  hai  vo
ki  mujh  se  apnī  dostī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
bichhaḌ  ke  us  se  zindagī  vabāl-e-jān  ho  ga.ī
vo  dil  meñ  shauq-e-ḳhud-kushī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
karūñ  to  ab  maiñ  kis  se  apnī  vus.at-e-nazar  kī  baat
vo  mujh  meñ  hiss-e-āgahī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
na  diid  kī  umiid  ab  na  lutf-e-naġhma-e-visāl
ki  lai  vo  sāz-e-hijr  kī  baḌhā  baḌhā  ke  chal  diyā
vo  aayā  'akbar'  is  adā  se  aaj  mere  sāmne
ki  ik  jhalak  sī  ḳhvāb  kī  dikhā  dikhā  ke  chal  diyā