pathrīlī  sī  shaam  meñ  tum  ne  aise  yaad  kiyā  jānam
saarī  raat  tumhārī  ḳhātir  maiñ  ne  zahr  piyā  jānam
sūraj  kī  mānind  banā  huuñ  reza  reza  bikhrā  huuñ
ab  jīvan  kā  sar-chashma  huuñ  vaise  ḳhuub  jilā  jānam
tum  ne  mujh  meñ  jo  kuchh  khoyā  us  kī  qīmat  tum  jaano
maiñ  ne  tum  se  jo  kuchh  paayā  hai  vo  besh-bahā  jānam
tum  ko  bhī  pahchān  nahīñ  hai  shāyad  merī  uljhan  kī
lekin  ham  milte  rahte  to  achchhā  hī  rahtā  jānam
ye  sāhab  jin  se  mil  kar  sab  kā  jī  ḳhush  ho  jaatā  hai
raat  ga.e  tak  un  ke  kamre  meñ  jaltā  hai  kyā  jānam
rakh  paao  to  rok  lo  ham  ko  gahrā.ī  ke  baasī  haiñ
bahte  paanī  ke  qatroñ  meñ  hotā  hai  dariyā  jānam
dard-e-judā.ī  meñ  likkhe  haiñ  sher  tumhāre  naam  bahut
tum  mere  ghar  meñ  rahtīñ  to  kyā  aisā  hotā  jānam