naam  terā  bhī  rahegā  na  sitamgar  baaqī
jab  hai  fir.aun  na  chañgez  kā  lashkar  baaqī
apne  chehroñ  ko  siyāhī  meñ  chhupāne  vaalo
nok-e-neza  pe  hai  sūraj  sā  koī  sar  baaqī
tere  virse  pe  haiñ  ġhāsib  kī  uqābī  nazreñ
ġhaflatoñ  se  nahīñ  rahte  ye  javāhar  baaqī
ik  sadaf  sat.h-e-samandar  pe  bahā  jaatā  hai
aur  sāhil  pe  nahīñ  ek  shanāvar  baaqī
ek  saf  hoñ  to  baneñ  siisa  pilā.ī  dīvār
hoñ  adū  ke  liye  rāheñ  na  kahīñ  dar  baaqī
qadr  kam  hotī  hai  taqsīm  jo  hotā  hai  adū
hāsil-e-jam.a  meñ  barakat  hai  barābar  baaqī
jaal  phir  laayā  hai  sayyād  phañsāne  ke  liye
mil  ke  uḌ  jaa.eñ  parinde  na  rahe  Dar  baaqī
zulm  se  sar  ko  na  Takrā.eñ  to  phir  sajda  kareñ
haañ  pata  hai  ki  dar  hogā  na  kahīñ  sar  baaqī
ham  shahīdoñ  ko  kabhī  murda  nahīñ  kahte  'anīs'
rizq  jannat  meñ  mile  shaan  yahāñ  par  baaqī