mirā  har  tiir  nishāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
dar-safar  meñ  bhī  Thikāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
totlī  umr  meñ  jo  bachcha  zarā  mushfiq  thā
kuchh  baḌā  ho  ke  dahāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
jī  ko  samjhātā  huuñ  qismat  meñ  likhā  thā  so  huā
kuchh  sambhal  kar  bhī  bahāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
ek  ġham  hotā  to  siine  se  lagā  letā  koī
ġham  kā  ambār  uThāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
phal  katarne  ke  liye  Daar  utar  aatī  thī
be-samar  koī  bulāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir
shahr  kuchh  chhūT  ga.e  gard-e-safar  lipTī  rahī
koī  rūdād  sunāne  pe  na  pahuñchā  āḳhir