Anees Ansari

baDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo

Anees Ansari

1949
baḌā āzār-e-jāñ hai vo agarche mehrbāñ hai vo
agarche mehrbāñ hai vo baḌā āzār-e-jāñ hai vo
misāl-e-āsmāñ hai vo mujhe zarḳhez kartā hai
mujhe zarḳhez kartā hai misāl-e-āsmāñ hai vo
karīm-o-sā.ebāñ hai vo mujhe mahfūz rakhtā hai
mujhe mahfūz rakhtā hai karīm-o-sā.ebāñ hai vo
agarche be-makāñ hai vo panāheñ mujh ko detā hai
panāheñ mujh ko detā hai agarche be-makāñ hai vo
baḌā ārām-e-jāñ hai vo liye phirtā hai siine meñ
liye phirtā hai siine meñ baḌā ārām-e-jāñ hai vo
agarche be-zabāñ hai vo nazar se baat kartā hai
nazar se baat kartā hai agarche be-zabāñ hai vo
ik aisā zahr-e-jāñ hai vo maiñ jis ko pī ke zinda huuñ
maiñ jis ko pī ke zinda huuñ ik aisā zahr-e-jāñ hai vo
ki bahr-e-be-karāñ hai vo tabhī sāhil nahīñ miltā
tabhī sāhil nahīñ miltā ki bahr-e-be-karāñ hai vo
mizāj-e-dushmanāñ hai vo parāyā bhī hai apnā bhī
parāyā bhī hai apnā bhī mizāj-e-dushmanāñ hai vo
kamāl-e-dostāñ hai vo vahī avval vahī āḳhir
vahī avval vahī āḳhir kamāl-e-dostāñ hai vo
amīr-e-kārvāñ hai vo maiñ us kī raah chaltā huuñ
maiñ us kī raah chaltā huuñ amīr-e-kārvāñ hai vo
baḌā gauhar-fishāñ hai vo mujhe bhī kuchh guhar degā
mujhe bhī kuchh guhar degā baḌā gauhar-fishāñ hai vo
sunahrī kahkashāñ hai vo dahakte haiñ ka.ī sūraj
dahakte haiñ ka.ī sūraj sunahrī kahkashāñ hai vo
sunā hai mehrbāñ hai vo 'anīs' itrāte phirte haiñ
'anīs' itrāte phirte haiñ sunā hai mehrbāñ hai vo
Top Urdushayar.com