baḌā  āzār-e-jāñ  hai  vo  agarche  mehrbāñ  hai  vo
agarche  mehrbāñ  hai  vo  baḌā  āzār-e-jāñ  hai  vo
misāl-e-āsmāñ  hai  vo  mujhe  zarḳhez  kartā  hai
mujhe  zarḳhez  kartā  hai  misāl-e-āsmāñ  hai  vo
karīm-o-sā.ebāñ  hai  vo  mujhe  mahfūz  rakhtā  hai
mujhe  mahfūz  rakhtā  hai  karīm-o-sā.ebāñ  hai  vo
agarche  be-makāñ  hai  vo  panāheñ  mujh  ko  detā  hai
panāheñ  mujh  ko  detā  hai  agarche  be-makāñ  hai  vo
baḌā  ārām-e-jāñ  hai  vo  liye  phirtā  hai  siine  meñ
liye  phirtā  hai  siine  meñ  baḌā  ārām-e-jāñ  hai  vo
agarche  be-zabāñ  hai  vo  nazar  se  baat  kartā  hai
nazar  se  baat  kartā  hai  agarche  be-zabāñ  hai  vo
ik  aisā  zahr-e-jāñ  hai  vo  maiñ  jis  ko  pī  ke  zinda  huuñ
maiñ  jis  ko  pī  ke  zinda  huuñ  ik  aisā  zahr-e-jāñ  hai  vo
ki  bahr-e-be-karāñ  hai  vo  tabhī  sāhil  nahīñ  miltā
tabhī  sāhil  nahīñ  miltā  ki  bahr-e-be-karāñ  hai  vo
mizāj-e-dushmanāñ  hai  vo  parāyā  bhī  hai  apnā  bhī
parāyā  bhī  hai  apnā  bhī  mizāj-e-dushmanāñ  hai  vo
kamāl-e-dostāñ  hai  vo  vahī  avval  vahī  āḳhir
vahī  avval  vahī  āḳhir  kamāl-e-dostāñ  hai  vo
amīr-e-kārvāñ  hai  vo  maiñ  us  kī  raah  chaltā  huuñ
maiñ  us  kī  raah  chaltā  huuñ  amīr-e-kārvāñ  hai  vo
baḌā  gauhar-fishāñ  hai  vo  mujhe  bhī  kuchh  guhar  degā
mujhe  bhī  kuchh  guhar  degā  baḌā  gauhar-fishāñ  hai  vo
sunahrī  kahkashāñ  hai  vo  dahakte  haiñ  ka.ī  sūraj
dahakte  haiñ  ka.ī  sūraj  sunahrī  kahkashāñ  hai  vo
sunā  hai  mehrbāñ  hai  vo  'anīs'  itrāte  phirte  haiñ
'anīs'  itrāte  phirte  haiñ  sunā  hai  mehrbāñ  hai  vo