Anees Ansari

tumhaare shahr mein itne makan gire kaise

Anees Ansari

1949
tumhāre shahr meñ itne makāñ gire kaise
mire aziiz Thikāne dhuāñ hue kaise
maiñ shahr-e-jabr se guzrā to suraḳh-rū ho kar
unheñ ye fikr lahū kā nishāñ miTe kaise
sunā rahā huuñ kahānī hazār rātoñ kī
ki shāhzāde ke sar se sināñ haTe kaise
hisāb ḳhuub rakhā tum ne apnī lāgat kā
mire nisāb meñ sūd-o-ziyāñ chale kaise
har ek shaḳhs tumhārī tarah nahīñ hotā
koī kisī se mohabbat kahāñ kare kaise
jahāñ bhī shaam huī ghar banā liyā apnā
makāñ bahut the magar be-makāñ rahe kaise
'anīs' tum to bahut tez chaal chalte the
zarā hameñ bhī batāo miyāñ gire kaise
Top Urdushayar.com