jis  ko  samjhe  the  tavañgar  vo  gadāgar  niklā
zarf  meñ  kāsa-e-darvesh  samundar  niklā
kabhī  darvesh  ke  takiya  meñ  bhī  aa  kar  dekho
tañg-dastī  meñ  bhī  ārām  mayassar  niklā
mushkileñ  aatī  haiñ  aane  do  guzar  jā.eñgī
log  ye  dekheñ  ki  kamzor  dilāvar  niklā
jab  giraftoñ  se  bhī  aage  ho  pahuñch  muTThī  kī
tab  lagegā  ki  samundar  meñ  shanāvar  niklā
koī  mauhūm  sā  chehra  jo  bulātā  hai  hameñ
bādaloñ  kī  tarah  shakleñ  vo  badal  kar  niklā
dil  ajab  chiiz  hai  kis  miTTī  meñ  jā  kar  bo.eñ
jaḌ  yuuñ  pakḌe  ki  lage  peḌ  tanāvar  niklā
laash  qātil  ne  khulī  pheñk  dī  chaurāhe  par
dekhne  vaalā  koī  ghar  se  na  bāhar  niklā
dekhne  meñ  to  dhanak  chand  hī  lamhe  thī  'anīs'
saat  rañgoñ  kā  magar  dīdanī  manzar  niklā