dil  par  yūñhī  choT  lagī  to  kuchh  din  ḳhuub  malāl  kiyā
puḳhta  umr  ko  bachchoñ  jaise  ro  ro  kar  behāl  kiyā
hijr  ke  chhoTe  gaañv  se  ham  ne  shahr-e-vasl  ko  hijrat  kī
shahr-e-vasl  ne  niiñd  uḌā  kar  ḳhvāboñ  ko  pāmāl  kiyā
uthle  kueñ  bhī  kal  tak  paanī  kī  daulat  se  jal-thal  the
ab  ke  bādal  aise  sūkhe  naddī  ko  kañgāl  kiyā
sūraj  jab  tak  Dhaal  rahā  thā  sonā  chāñdī  āñkhoñ  meñ
bhiiḌ  meñ  sikke  ḳhuub  uchhāle  sab  ko  mālā-māl  kiyā
lekin  jab  se  sūraj  Duubā  aisā  ghor  añdherā  hai
saa.e  sab  ma.adūm  hue  aur  āñkhoñ  ko  kañgāl  kiyā
saḳht  zamīñ  meñ  phuul  ugāte  to  kahte  kuchh  baat  huī
hijr  meñ  tum  ne  aañsū  bo  kar  aisā  kaun  kamāl  kiyā
āḳhir  meñ  'ansārī'-sāhab  apne  rañg  meñ  Duub  ga.e
us  ko  duā  dī  us  ko  chheḌā  shahr  abiir  gulāl  kiyā