bhar  nahīñ  paayā  abhī  tak  zaḳhm-e-kārī  haa.e  haa.e
dil  ko  thāme  haiñ  lahū  phir  bhī  hai  jaarī  haa.e  haa.e
dard  kā  ehsās  ghaT  jaatā  agar  chāhe  koī
ho  rahī  hai  aur  ulTe  dil-figārī  haa.e  haa.e
jism  to  pahle  hī  zaḳhmī  thā  magar  baaqī  thā  dil
ab  adū  ke  haath  meñ  ḳhanjar  hai  bhārī  haa.e  haa.e
hijr  meñ  vaise  bhī  aatī  hai  musībat  jaan  par
par  raqīboñ  kī  alag  hai  ḳhanda-kārī  haa.e  haa.e
reza  reza  kar  diyā  zālim  ne  saare  jism  ko
uḌ  rahī  hai  ḳhaak  pairoñ  par  hamārī  haa.e  haa.e
dil  girafta  ho  ke  chup  baiThe  haiñ  shāyad  is  tarah
rahm  aa.e  dekh  kar  sūrat  hamārī  haa.e  haa.e
dast-e-qātil  said  banñe  se  nahīñ  ruktā  kabhī
hai  abas  be-chārgī-o-āh-o-zārī  haa.e  haa.e
jo  parinde  uḌ  nahīñ  sakte  ab  un  kī  ḳhair  ho
aane  vaalā  hai  isī  jānib  shikārī  haa.e  haa.e
raah  se  patthar  uThā  kar  sū-e-zālim  pheñk  de
gar  nahīñ  tīroñ  kī  tujh  meñ  zarb-kārī  haa.e  haa.e
ek  qibla  ik  azaañ  aur  ek  majlis  ik  imaam
kaash  aa  jaa.e  samajh  meñ  ye  tumhārī  haa.e  haa.e